wo kya kuchh na karne wale the
vo kyā kuchh na karne vaale the
bas koī dam meñ marne vaale the
the gile aur gard-e-bād kī shaam
aur ham sab bikharne vaale the
vo jo aatā to us kī ḳhushbū meñ
aaj ham rañg bharne vaale the
sirf afsos hai ye tanz nahīñ
tum na sañvre sañvarne vaale the
yuuñ to marnā hai ek baar magar
ham ka.ī baar marne vaale the
wo kya kuchh na karne wale the
bas koi dam mein marne wale the
the gile aur gard-e-baad ki sham
aur hum sab bikharne wale the
wo jo aata to us ki KHushbu mein
aaj hum rang bharne wale the
sirf afsos hai ye tanz nahin
tum na sanwre sanwarne wale the
yun to marna hai ek bar magar
hum kai bar marne wale the
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 82)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.