wo lahu roi hain aankhen ki batana mushkil
vo lahū roī haiñ āñkheñ ki batānā mushkil
ab koī ḳhvāb in āñkhoñ meñ sajānā mushkil
kitnī yādeñ thiiñ ki gard-e-rah-e-ayyām huiiñ
kitne chehroñ kā huā dhyān meñ laanā mushkil
kitne shab-ḳhūñ the ujāloñ pe jo maare na ga.e
kitnī sham.eñ thiiñ huā jin kā jalānā mushkil
kitne darvāze diloñ ke the jo dīvār bane
aisī dīvār ki dar jis meñ banānā mushkil
rañg jitne the bahāroñ meñ bahāroñ se ga.e
is chaman-zār meñ ab jī kā lagānā mushkil
vo bhī ai shahr-e-nigārāñ thā koī mausam ḳhvāb
biit jaane pe bhī hai jis ko bhulānā mushkil
raqs karte hue kāñToñ pe chale ham varna
har-qadam raah meñ thā phuul khilānā mushkil
yūñhī chaḌhtā rahā gar dard kā dariyā to 'jamāl'
kashtī-e-jāñ ko kināre se lagānā mushkil
wo lahu roi hain aankhen ki batana mushkil
ab koi KHwab in aankhon mein sajaana mushkil
kitni yaaden thin ki gard-e-rah-e-ayyam huin
kitne chehron ka hua dhyan mein lana mushkil
kitne shab-KHun the ujalon pe jo mare na gae
kitni shamen thin hua jin ka jalana mushkil
kitne darwaze dilon ke the jo diwar bane
aisi diwar ki dar jis mein banana mushkil
rang jitne the bahaaron mein bahaaron se gae
is chaman-zar mein ab ji ka lagana mushkil
wo bhi ai shahr-e-nigaran tha koi mausam KHwab
bit jaane pe bhi hai jis ko bhulana mushkil
raqs karte hue kanTon pe chale hum warna
har-qadam rah mein tha phul khilana mushkil
yunhi chaDhta raha gar dard ka dariya to 'jamal'
kashti-e-jaan ko kinare se lagana mushkil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.