wo likhta hai jab yaadon ke chand sitare kaghaz par
wo likhta hai jab yaadon ke chand sitare kaghaz par
Sajid Rais Warsi
MORE BYSajid Rais Warsi
vo likhtā hai jab yādoñ ke chāñd sitāre kāġhaz par
ḳhud hī utar kar aa jaate haiñ saare nazāre kāġhaz par
uupar nīche aage pīchhe kone kināre kāġhaz par
us ko likhā hai sar se pā tak maiñ ne saare kāġhaz par
shāyad is par sar rakh kar vo likhte likhte soyā hai
us ke lab-o-ruḳhsār kī ḳhushbū jazb hai saare kāġhaz par
us ke ḳhat ke kore varaq par ḳhuun ke aañsū bikhreñ haiñ
jaise koī bhuul se rakh de kuchh añgāre kāġhaz par
'sājid' apne dil ke varaq par naqsh ise kar lenā hai
apnī ġhazal meñ kyā rakhā hai kaun utāre kāġhaz par
wo likhta hai jab yaadon ke chand sitare kaghaz par
KHud hi utar kar aa jate hain sare nazare kaghaz par
upar niche aage pichhe kone kinare kaghaz par
us ko likha hai sar se pa tak main ne sare kaghaz par
shayad is par sar rakh kar wo likhte likhte soya hai
us ke lab-o-ruKHsar ki KHushbu jazb hai sare kaghaz par
us ke KHat ke kore waraq par KHun ke aansu bikhren hain
jaise koi bhul se rakh de kuchh angare kaghaz par
'sajid' apne dil ke waraq par naqsh ise kar lena hai
apni ghazal mein kya rakha hai kaun utare kaghaz par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.