Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo log jinko hayat apni ghamon mein Dubi hui milegi

Qais Rampuri

wo log jinko hayat apni ghamon mein Dubi hui milegi

Qais Rampuri

MORE BYQais Rampuri

    vo log jin ko hayāt apnī ġhamoñ meñ Duubī huī milegī

    agar mire saath saath aa.eñ to ik na.ī zindagī milegī

    unhīñ ko haañ bas unhīñ ko ai 'qais' manzil-e-zindagī malegī

    musībatoñ ke hujūm meñ bhī laboñ pe jin ke hañsī malegī

    qafas tārīk ḳhalvatoñ par haiñ mo'tariz kyuuñ ye ahl-e-duniyā

    chaman meñ bhī āshiyāñ jaleñge to phir kahīñ raushnī milegī

    maiñ terī āñkhoñ ke āsare par mai-kade se uThā thā lekin

    ye kyā ḳhabar thī ki terī āñkhoñ se aur bhī tishnagī milegī

    agar ujāloñ hai tamannā na bujhne paa.e charāġh dil

    ki dil meñ jab raushnī na hogī to har taraf tīrgī milegī

    qasam hai tum ko mire muqaddar yuuñ savāro na apnī zulfeñ

    tumhīñ agar uljhaneñ na doge to phir kahāñ zindagī milegī

    ye log jo ḳhanda-zan haiñ mujh par inheñ kuchh is ḳhabar nahīñ hai

    ki merī rūdād-e-gum-rahī se zamāne ko rahbarī milegī

    wo log jin ko hayat apni ghamon mein Dubi hui milegi

    agar mere sath sath aaen to ek nai zindagi milegi

    unhin ko han bas unhin ko ai 'qais' manzil-e-zindagi malegi

    musibaton ke hujum mein bhi labon pe jin ke hansi malegi

    qafas ki tarik KHalwaton par hain mo'tariz kyun ye ahl-e-duniya

    chaman mein bhi aashiyan jalenge to phir kahin raushni milegi

    main teri aankhon ke aasare par hi mai-kade se uTha tha lekin

    ye kya KHabar thi ki teri aankhon se aur bhi tishnagi milegi

    agar ujalon ki hai tamanna na bujhne pae charagh dil ka

    ki dil mein jab raushni na hogi to har taraf tirgi milegi

    qasam hai tum ko mere muqaddar ki yun sawaro na apni zulfen

    tumhin agar uljhanen na doge to phir kahan zindagi milegi

    ye log jo KHanda-zan hain mujh par inhen kuchh is ki KHabar nahin hai

    ki meri rudad-e-gum-rahi se zamane ko rahbari milegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now