wo log to aankhon se bhi dekha nahin karte
vo log to āñkhoñ se bhī dekhā nahīñ karte
jo dil ke darīchoñ ko kabhī vā nahīñ karte
aisī hī kashākash meñ ulaT jaatī hai duniyā
sañbhle na agar dil to sambhālā nahīñ karte
rakhte haiñ mohabbat ko taġhāful meñ chhupā kar
parvā hī to karte haiñ jo parvā nahīñ karte
hogā koī ham jaisā kahāñ hijr-gazīda
mātam bhī to tanhā.ī kā tanhā nahīñ karte
is chāk-garebānī pe samjhāne lage sab
dhāge bhī ye kahte haiñ ki uljhā nahīñ karte
kahte haiñ sabhī sust magar aap kaheñ kyuuñ
kah deñ jo kabhī aap to ham kyā nahīñ karte
'aḳhtar' ko burā kahte koī baat nahīñ thī
'ġhālib' ko burā kahte ho achchhā nahīñ karte
wo log to aankhon se bhi dekha nahin karte
jo dil ke darichon ko kabhi wa nahin karte
aisi hi kashakash mein ulaT jati hai duniya
sanbhle na agar dil to sambhaala nahin karte
rakhte hain mohabbat ko taghaful mein chhupa kar
parwa hi to karte hain jo parwa nahin karte
hoga koi hum jaisa kahan hijr-gazida
matam bhi to tanhai ka tanha nahin karte
is chaak-garebani pe samjhane lage sab
dhage bhi ye kahte hain ki uljha nahin karte
kahte hain sabhi sust magar aap kahen kyun
kah den jo kabhi aap to hum kya nahin karte
'aKHtar' ko bura kahte koi baat nahin thi
'ghaalib' ko bura kahte ho achchha nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.