wo mahakta hai jo KHushbu ke hawalon ki tarah
vo mahaktā hai jo ḳhushbū ke havāloñ kī tarah
is ko rakkhā hai kitāboñ meñ gulāboñ kī tarah
vo jo ḳhvāboñ ke jazīre meñ nazar aatā hai
mere idrāk meñ rahtā hai kināroñ kī tarah
ban ke ehsās jo dhaḌkan se lipaT jaatā hai
saath rahtā hai mohabbat meñ ḳhayāloñ kī tarah
dekhnā ḳhvāb kī sūrat meñ nazar aa.egā
vo jo palkoñ pe chamaktā hai sitāroñ kī tarah
maiñ ne ḳhushbū ke libāde meñ jise chūmā thā
merī har saañs meñ shāmil hai vo phūloñ kī tarah
vo mire sher kā ik misra-e-tar ho jaise
gungunātī huuñ use aaj maiñ gītoñ kī tarah
itnī achchhī thī mulāqāt ki pahle din hī
dil meñ 'afroz' basāyā use sochoñ kī tarah
wo mahakta hai jo KHushbu ke hawalon ki tarah
is ko rakkha hai kitabon mein gulabon ki tarah
wo jo KHwabon ke jazire mein nazar aata hai
mere idrak mein rahta hai kinaron ki tarah
ban ke ehsas jo dhaDkan se lipaT jata hai
sath rahta hai mohabbat mein KHayalon ki tarah
dekhna KHwab ki surat mein nazar aaega
wo jo palkon pe chamakta hai sitaron ki tarah
main ne KHushbu ke libaade mein jise chuma tha
meri har sans mein shamil hai wo phulon ki tarah
wo mere sher ka ek misra-e-tar ho jaise
gungunati hun use aaj main giton ki tarah
itni achchhi thi mulaqat ki pahle din hi
dil mein 'afroz' basaya use sochon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.