wo majburi nahin thi ye adakari nahin hai
vo majbūrī nahīñ thī ye adākārī nahīñ hai
magar donoñ taraf pahlī sī sarshārī nahīñ hai
bahāne se use bas dekh aanā pal do pal ko
ye fard-e-jurm hai aur aañkh inkārī nahīñ hai
maiñ terī sard-mehrī se zarā bad-dil nahīñ huuñ
mire dushman tirā ye vaar bhī kaarī nahīñ hai
maiñ us ke qaul par īmān lā kar ḳhauf meñ huuñ
kahīñ lahje meñ to zālim ke ayyārī nahīñ hai
wo majburi nahin thi ye adakari nahin hai
magar donon taraf pahli si sarshaari nahin hai
bahane se use bas dekh aana pal do pal ko
ye fard-e-jurm hai aur aankh inkari nahin hai
main teri sard-mehri se zara bad-dil nahin hun
mere dushman tera ye war bhi kari nahin hai
main us ke qaul par iman la kar KHauf mein hun
kahin lahje mein to zalim ke ayyari nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.