Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mar gaya sar-e-mahfil ye bain karta hua

Akash Arsh

wo mar gaya sar-e-mahfil ye bain karta hua

Akash Arsh

MORE BYAkash Arsh

    vo mar gayā sar-e-mahfil ye bain kartā huā

    mire ḳhamīr meñ kuchh dard jaisā hai nahīñ

    sab apnī zaat meñ ik anjuman ke mujrim haiñ

    kisī vajūd meñ kuchh fard jaisā hai nahīñ

    havas bād-e-ḳhizānī paas hai varna

    kuchh us ke pairahan zard jaisā hai nahīñ

    maiñ ḳhūñ-ba-chashm bhī apnā tamāsh-bīñ huuñ 'arsh'

    ajab lahū hai mirā gard jaisā hai nahīñ

    wo mar gaya sar-e-mahfil ye bain karta hua

    mere KHamir mein kuchh dard jaisa hai hi nahin

    sab apni zat mein ek anjuman ke mujrim hain

    kisi wajud mein kuchh fard jaisa hai hi nahin

    hawas ki baad-e-KHizani ka pas hai warna

    kuchh us ke pairahan zard jaisa hai hi nahin

    main KHun-ba-chashm bhi apna tamash-bin hun 'arsh'

    ajab lahu hai mera gard jaisa hai hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now