wo masaf-e-zist mein har moD par tanha raha
vo masāf-e-zīst meñ har moḌ par tanhā rahā
phir bhī hoñToñ par na us ke koī bhī shikva rahā
jo sadā tishna-laboñ ke vāste dariyā rahā
umr bhar vo ḳhud ba-nām-e-dostāñ pyāsā rahā
aql hairāñ hai junūñ bhī dam-ba-ḳhud hai soch kar
vo hujūm-e-kushtagāñ meñ kis tarah zinda rahā
phūlne phalne kā mauqa.a to kahāñ un ko milā
nīm-jāñ paudoñ pe jab tak aap kā saaya rahā
'alqama-shiblī' havā kaisī chalī gulzār meñ
āshiyāñ meñ bhī parinda vaqt kā sahmā rahā
wo masaf-e-zist mein har moD par tanha raha
phir bhi honTon par na us ke koi bhi shikwa raha
jo sada tishna-labon ke waste dariya raha
umr bhar wo KHud ba-nam-e-dostan pyasa raha
aql hairan hai junun bhi dam-ba-KHud hai soch kar
wo hujum-e-kushtagan mein kis tarah zinda raha
phulne phalne ka mauqa to kahan un ko mila
nim-jaan paudon pe jab tak aap ka saya raha
'alqama-shibli' hawa kaisi chali gulzar mein
aashiyan mein bhi parinda waqt ka sahma raha
- Book : Aiwan (Pg. 82)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.