wo mast-e-naz aata hai zara hoshyar ho jaana
wo mast-e-naz aata hai zara hoshyar ho jaana
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
MORE BYKhwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
vo mast-e-nāz aatā hai zarā hoshyār ho jaanā
yahīñ dekhā gayā hai be-piye sarshār ho jaanā
hamārā shaġhl hai rātoñ ko ronā yād-dilbar meñ
hamārī niiñd hai mahv-e-ḳhayāl-e-yār ho jaanā
lagāvaT se tirī kyā dil khule ma.alūm hai ham ko
zarā sī baat meñ khiñch kar tirā talvār ho jaanā
abas hai justujū bahr-e-mohabbat ke kināre kī
bas is meñ Duub marnā hī hai ai dil paar ho jaanā
nahīñ darkār mai ham ko piye jā tū hī ai saaqī
hameñ to mast kartā hai tirā sarshār ho jaanā
wo mast-e-naz aata hai zara hoshyar ho jaana
yahin dekha gaya hai be-piye sarshaar ho jaana
hamara shaghl hai raaton ko rona yaad-dilbar mein
hamari nind hai mahw-e-KHayal-e-yar ho jaana
lagawaT se teri kya dil khule malum hai hum ko
zara si baat mein khinch kar tera talwar ho jaana
abas hai justuju bahr-e-mohabbat ke kinare ki
bas is mein Dub marna hi hai ai dil par ho jaana
nahin darkar mai hum ko piye ja tu hi ai saqi
hamein to mast karta hai tera sarshaar ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.