wo maza rakhte hain kuchh taza fasane apne
vo mazā rakhte haiñ kuchh taaza fasāne apne
bhūlte jaate haiñ sab dard purāne apne
kar ke ik baar tirī chashm-e-fusūñ-gar ke supurd
phir na pūchhā kabhī bandoñ ko ḳhudā ne apne
bazm-e-yārāñ meñ vo ab kaif kahāñ hai baaqī
roz jaate haiñ kahīñ jī ko jalāne apne
haal meñ apne kuchh is tarah magan haiñ goyā
ham ne dekhe hī nahīñ agle zamāne apne
ham vahī haiñ ki jahāñ baat kisī ne pūchhī
ḳhush-gumāñ ho ke lage daaġh dikhāne apne
ham-nashīñ dost kī sūrat to kahāñ miltī hai
chain se vo hai jo dushman ko na jaane apne
zikr se us ke sañvārā hai suḳhan ko 'haqqī'
ḳhush-mazā lagte haiñ kānoñ ko tarāne apne
wo maza rakhte hain kuchh taza fasane apne
bhulte jate hain sab dard purane apne
kar ke ek bar teri chashm-e-fusun-gar ke supurd
phir na puchha kabhi bandon ko KHuda ne apne
bazm-e-yaran mein wo ab kaif kahan hai baqi
roz jate hain kahin ji ko jalane apne
haal mein apne kuchh is tarah magan hain goya
hum ne dekhe hi nahin agle zamane apne
hum wahi hain ki jahan baat kisi ne puchhi
KHush-guman ho ke lage dagh dikhane apne
ham-nashin dost ki surat to kahan milti hai
chain se wo hai jo dushman ko na jaane apne
zikr se us ke sanwara hai suKHan ko 'haqqi'
KHush-maza lagte hain kanon ko tarane apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.