wo mehrban ho to sahra bhi gulsitan ho jaen
vo mehrbāñ ho to sahrā bhī gulsitāñ ho jaa.eñ
agar ḳhafā ho to barham sitār-gāñ ho jaa.eñ
havā.eñ shauq samundar kī mehrbāñ ho jaa.eñ
talab safīna ho armān bādbāñ ho jaa.eñ
ba-yās-e-dostī itne bhī ab na do ilzām
ki ham ḳhud apnī taraf se bhī bad-gumāñ ho jaa.eñ
qalandaroñ ke liye shahr kyā hai sahrā kyā
ġharaz to Thor Thikānoñ se hai jahāñ ho jaa.eñ
tumhārī yaad kare aise dil meñ ghar apnā
ham apne ghar meñ ba-tadrīj mehmāñ ho jaa.eñ
tirī razā rahī shāmil to is masāfat meñ
sulagte dasht kī dhūpeñ bhī sā.ebāñ ho jaa.eñ
jo ho yaqīn to bas ik charāġh kaafī hai
na ho to laakh mah-o-mehr rā.egāñ ho jaa.eñ
chalo shigāf banā.eñ fasīl-e-vaqt meñ ham
'ajab nahīñ ki baham saare raftagāñ ho jaa.eñ
jo said-e-dām-e-junūñ the vo pā ga.e manzil
asīr-e-dānish-o-bīnish na be-nishāñ ho jaa.eñ
fuzūl Thahre tag-o-tāz-e-umr bhī saarī
hatheliyoñ kī lakīreñ bhī rā.egāñ ho jaa.eñ
vafā kī jins haiñ 'irfān' ham bhī arzāñ haiñ
ḳharīd lo kahīñ aisā na ho garāñ ho jaa.eñ
wo mehrban ho to sahra bhi gulsitan ho jaen
agar KHafa ho to barham sitar-gan ho jaen
hawaen shauq samundar ki mehrban ho jaen
talab safina ho arman baadban ho jaen
ba-yas-e-dosti itne bhi ab na do ilzam
ki hum KHud apni taraf se bhi bad-guman ho jaen
qalandaron ke liye shahr kya hai sahra kya
gharaz to Thor Thikanon se hai jahan ho jaen
tumhaari yaad kare aise dil mein ghar apna
hum apne ghar mein ba-tadrij mehman ho jaen
teri raza rahi shamil to is masafat mein
sulagte dasht ki dhupen bhi saeban ho jaen
jo ho yaqin to bas ek charagh kafi hai
na ho to lakh mah-o-mehr raegan ho jaen
chalo shigaf banaen fasil-e-waqt mein hum
'ajab nahin ki baham sare raftagan ho jaen
jo said-e-dam-e-junun the wo pa gae manzil
asir-e-danish-o-binish na be-nishan ho jaen
fuzul Thahre tag-o-taz-e-umr bhi sari
hatheliyon ki lakiren bhi raegan ho jaen
wafa ki jins hain 'irfan' hum bhi arzan hain
KHarid lo kahin aisa na ho garan ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.