wo mera hai to kabhi bhi na aazmaun use
wo mera hai to kabhi bhi na aazmaun use
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
MORE BYAshhad Bilal Ibn-e-chaman
vo merā hai to kabhī bhī na āzmā.ūñ use
mirā nahīñ hai to phir kis liye satā.ūñ use
vo māhtāb se baḌh kar ke ho gayā sūraj
jo ḳhud bhī aa.e to kaise gale lagā.ūñ use
maiñ chāhtā huuñ mirā pyaar us se aisā ho
vo rūThtā rahe maiñ bār-hā manā.ūñ use
tamām din kī mashaqqat-bharī takān ke ba.ad
tamām raat mohabbat se phir jagā.ūñ use
mirā habīb mire ishq meñ khilaunā ho
vo TuuT jaa.e to phir joḌ kar banā.ūñ use
huā kare mirā us se muqābla yuuñ bhī
usī se jiit ke us ko hī haar jā.ūñ use
vo jāntā hai mire har savāl kā matlab
agar javāb bhī de de to maan jā.ūñ use
yahī duā hai mirī rabb-e-do-jahāñ se 'bilāl'
kisī se ahd karūñ gar to phir nibhā.ūñ use
wo mera hai to kabhi bhi na aazmaun use
mera nahin hai to phir kis liye sataun use
wo mahtab se baDh kar ke ho gaya suraj
jo KHud bhi aae to kaise gale lagaun use
main chahta hun mera pyar us se aisa ho
wo ruThta rahe main bar-ha manaun use
tamam din ki mashaqqat-bhari takan ke baad
tamam raat mohabbat se phir jagaun use
mera habib mere ishq mein khilauna ho
wo TuT jae to phir joD kar banaun use
hua kare mera us se muqabla yun bhi
usi se jit ke us ko hi haar jaun use
wo jaanta hai mere har sawal ka matlab
agar jawab bhi de de to man jaun use
yahi dua hai meri rabb-e-do-jahan se 'bilal'
kisi se ahd karun gar to phir nibhaun use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.