wo mera KHwab jo mahtab hone wala tha
vo merā ḳhvāb jo mahtāb hone vaalā thā
palaT ke dekhā to kam-āb hone vaalā thā
barastī aag kā mausam bhī saath chaltā hai
mirā gumān ki shādāb hone vaalā thā
bulāvā miTTī kā aayā thā saañs lene par
safar to yuuñ bhī mirā ḳhvāb hone vaalā thā
umaD ke aa.e the aañsū ki jaltī āñkhoñ meñ
vafā kā rañg bhī nāyāb hone vaalā thā
wo mera KHwab jo mahtab hone wala tha
palaT ke dekha to kam-ab hone wala tha
barasti aag ka mausam bhi sath chalta hai
mera guman ki shadab hone wala tha
bulawa miTTi ka aaya tha sans lene par
safar to yun bhi mera KHwab hone wala tha
umaD ke aae the aansu ki jalti aankhon mein
wafa ka rang bhi nayab hone wala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.