Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mere ghar nahin aata main uske ghar nahin jata

Waseem Barelvi

wo mere ghar nahin aata main uske ghar nahin jata

Waseem Barelvi

MORE BYWaseem Barelvi

    vo mere ghar nahīñ aatā maiñ us ke ghar nahīñ jaatā

    magar in ehtiyātoñ se ta.alluq mar nahīñ jaatā

    bure achchhe hoñ jaise bhī hoñ sab rishte yahīñ ke haiñ

    kisī ko saath duniyā se koī le kar nahīñ jaatā

    gharoñ tarbiyat kyā aa ga.ī T-v ke hāthoñ meñ

    koī bachcha ab apne baap ke uupar nahīñ jaatā

    khule the shahr meñ sau dar magar ik had ke andar

    kahāñ jaatā agar maiñ lauT ke phir ghar nahīñ jaatā

    mohabbat ke ye aañsū haiñ unheñ āñkhoñ meñ rahne do

    sharīfoñ ke gharoñ mas.ala bāhar nahīñ jaatā

    'vasīm' us se kaho duniyā bahut mahdūd hai merī

    kisī dar jo ho jaa.e vo phir dar dar nahīñ jaatā

    wo mere ghar nahin aata main us ke ghar nahin jata

    magar in ehtiyaton se talluq mar nahin jata

    bure achchhe hon jaise bhi hon sab rishte yahin ke hain

    kisi ko sath duniya se koi le kar nahin jata

    gharon ki tarbiyat kya aa gai T-w ke hathon mein

    koi bachcha ab apne bap ke upar nahin jata

    khule the shahr mein sau dar magar ek had ke andar hi

    kahan jata agar main lauT ke phir ghar nahin jata

    mohabbat ke ye aansu hain unhen aankhon mein rahne do

    sharifon ke gharon ka masala bahar nahin jata

    'wasim' us se kaho duniya bahut mahdud hai meri

    kisi dar ka jo ho jae wo phir dar dar nahin jata

    Source :
    • Book : Mera Kiya (Pg. 37)
    • Author : Waseem Barelvi
    • Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
    • Edition : 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now