wo mere haal pe roya bhi muskuraya bhi
vo mere haal pe royā bhī muskurāyā bhī
ajiib shaḳhs hai apnā bhī hai parāyā bhī
ye intizār sahar kā thā yā tumhārā thā
diyā jalāyā bhī maiñ ne diyā bujhāyā bhī
maiñ chāhtā huuñ Thahar jaa.e chashm-e-dariyā meñ
laraztā aks tumhārā bhī merā saayā bhī
bahut mahīn thā parda laraztī āñkhoñ kā
mujhe dikhāyā bhī tū ne mujhe chhupāyā bhī
bayāz bhar bhī ga.ī aur phir bhī saada hai
tumhāre naam ko likkhā bhī aur miTāyā bhī
wo mere haal pe roya bhi muskuraya bhi
ajib shaKHs hai apna bhi hai paraya bhi
ye intizar sahar ka tha ya tumhaara tha
diya jalaya bhi main ne diya bujhaya bhi
main chahta hun Thahar jae chashm-e-dariya mein
larazta aks tumhaara bhi mera saya bhi
bahut mahin tha parda larazti aankhon ka
mujhe dikhaya bhi tu ne mujhe chhupaya bhi
bayaz bhar bhi gai aur phir bhi sada hai
tumhaare nam ko likkha bhi aur miTaya bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.