wo mere samne malbus kya badalne laga
vo mere sāmne malbūs kyā badalne lagā
nigār ḳhāna-e-abr-o-havā badalne lagā
tah-e-zamīn kisī azhdahe ne jumbish kī
bisāt-e-ḳhāk pe manzar mirā badalne lagā
ye kaun utrā pa.e-gasht apnī masnad se
aur intizām-e-makān o sirā badalne lagā
huā hai kaun numūdār tiin samtoñ se
ki andarūñ kā jazīra-numā badalne lagā
ye kaise din haiñ hamārī zamīn par 'sarvat'
guloñ kā rang namak kā mazā badalne lagā
wo mere samne malbus kya badalne laga
nigar KHana-e-abr-o-hawa badalne laga
tah-e-zamin kisi azhdahe ne jumbish ki
bisat-e-KHak pe manzar mera badalne laga
ye kaun utra pae-gasht apni masnad se
aur intizam-e-makan o sira badalne laga
hua hai kaun numudar tin samton se
ki andarun ka jazira-numa badalne laga
ye kaise din hain hamari zamin par 'sarwat'
gulon ka rang namak ka maza badalne laga
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 41)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.