wo mere sath aane pe tayyar ho gaya
vo mere saath aane pe tayyār ho gayā
sote se haḌbaḌā ke maiñ bedār ho gayā
us ke hasīn chehre pe ḳhat ḳhuub thā magar
dāḌhī muñDā ke aur tarah-dār ho gayā
battī bujhā ke hero heroine lipaT ga.e
qissa bahut hī phir to mazedār ho gayā
qātil farār ho gayā police ke aane tak
ik rāh-rau bechāra giraftār ho gayā
un ko gunāh karte hue maiñ ne jā liyā
phir un ke saath maiñ bhī gunahgār ho gayā
mardāngī kā us kī bahut shor thā magar
aa.ī shab-e-visāl to bīmār ho gayā
wo mere sath aane pe tayyar ho gaya
sote se haDbaDa ke main bedar ho gaya
us ke hasin chehre pe KHat KHub tha magar
daDhi munDa ke aur tarah-dar ho gaya
batti bujha ke hero heroine lipaT gae
qissa bahut hi phir to mazedar ho gaya
qatil farar ho gaya police ke aane tak
ek rah-rau bechaara giraftar ho gaya
un ko gunah karte hue main ne ja liya
phir un ke sath main bhi gunahgar ho gaya
mardangi ka us ki bahut shor tha magar
aai shab-e-visal to bimar ho gaya
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 39)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.