wo mere sath chalne par agar tayyar ho jae
vo mere saath chalne par agar tayyār ho jaa.e
bhale manzil kī jānib se mujhe inkār ho jaa.e
mirā fann-e-adākārī numāyāñ ho ke ubhregā
zarā terī kahānī meñ mirā kirdār ho jaa.e
nashāt-angez shāmoñ kā tasalsul is tarah TuuTā
ki gahrī niiñd se yak-dam koī bedār ho jaa.e
agar apnī madhur āvāz meñ naġhma sunā de vo
to rāh-e-mahfil-e-yārāñ zarā hamvār ho jaa.e
agar vo ik nazar dekhe mire jazbe kī sachchā.ī
nasīhat chhoḌ kar nāseh mirā ġham-ḳhvār ho jaa.e
tirī āñkheñ batātī haiñ tujhe mujh se mohabbat hai
magar dil kī tasallī ko zarā iz.hār ho jaa.e
samajh lo tīrgī derīna sāthī ho ga.ī 'ādil'
charāġh-e-jāñ jalānā jab tumheñ dushvār ho jaa.e
wo mere sath chalne par agar tayyar ho jae
bhale manzil ki jaanib se mujhe inkar ho jae
mera fann-e-adakari numayan ho ke ubhrega
zara teri kahani mein mera kirdar ho jae
nashat-angez shamon ka tasalsul is tarah TuTa
ki gahri nind se yak-dam koi bedar ho jae
agar apni madhur aawaz mein naghma suna de wo
to rah-e-mahfil-e-yaran zara hamwar ho jae
agar wo ek nazar dekhe mere jazbe ki sachchai
nasihat chhoD kar naseh mera gham-KHwar ho jae
teri aankhen batati hain tujhe mujh se mohabbat hai
magar dil ki tasalli ko zara izhaar ho jae
samajh lo tirgi derina sathi ho gai 'adil'
charagh-e-jaan jalana jab tumhein dushwar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.