wo mere shahr mein aaya hua hai
vo mere shahr meñ aayā huā hai
kaḌaktī dhuup meñ saayā huā hai
tumhāre pyaar meñ TuuTā huā dil
kisī ke husn pe aayā huā hai
dil-e-barbād ko tere sabab se
na.ī ulfat meñ uljhāyā huā hai
mohabbat ne mire se tund-ḳhū ko
sar-e-bāzār khiñchvāyā huā hai
mujhe milne ko us ne tañg kurtā
ba-taur-e-ḳhās silvāyā huā hai
nadāmat saḳht hai par hai ḳhushī bhī
use ḳhalvat meñ bulvāyā huā hai
wo mere shahr mein aaya hua hai
kaDakti dhup mein saya hua hai
tumhaare pyar mein TuTa hua dil
kisi ke husn pe aaya hua hai
dil-e-barbaad ko tere sabab se
nai ulfat mein uljhaya hua hai
mohabbat ne mere se tund-KHu ko
sar-e-bazar khinchwaya hua hai
mujhe milne ko us ne tang kurta
ba-taur-e-KHas silwaya hua hai
nadamat saKHt hai par hai KHushi bhi
use KHalwat mein bulwaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.