wo mere shahr mein aaya munafiqat kya hai
vo mere shahr meñ aayā munāfiqat kyā hai
ye us ne aa ke batāyā munāfiqat kyā hai
mire ḳhulūs ko samjhā gayā hai nādānī
fareb sāmne khāyā munāfiqat kyā hai
sabhī ko ilm hai Dasnā hai saañp kī fitrat
phir is meñ us kī ḳhudāyā munāfiqat kyā hai
vo phir se haath milāne ko mere paas aayā
savāl maiñ ne uThāyā munāfiqat kyā hai
simaT ke baiTh gayā huuñ maiñ ek kone meñ
mirī samajh meñ jo aayā munāfiqat kyā hai
zamīn achchhī lagī sher kahne kī ḳhātir
so maiñ radīf ye laayā munāfiqat kyā hai
wo mere shahr mein aaya munafiqat kya hai
ye us ne aa ke bataya munafiqat kya hai
mere KHulus ko samjha gaya hai nadani
fareb samne khaya munafiqat kya hai
sabhi ko ilm hai Dasna hai sanp ki fitrat
phir is mein us ki KHudaya munafiqat kya hai
wo phir se hath milane ko mere pas aaya
sawal main ne uThaya munafiqat kya hai
simaT ke baiTh gaya hun main ek kone mein
meri samajh mein jo aaya munafiqat kya hai
zamin achchhi lagi sher kahne ki KHatir
so main radif ye laya munafiqat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.