wo mile to be-takalluf na mile to be-irada
vo mile to be-takalluf na mile to be-irāda
na tarīq-e-āshnā.ī na rusūm-e-jām-o-bādā
tirī nīm-kash nigāheñ tirā zer-e-lab tabassum
yūñhī ik adā-e-mastī yūñhī ik fareb-e-sāda
vo kuchh is tarah se aa.e mujhe is tarah se dekhā
mirī aarzū se kam-tar mirī taab se ziyāda
ye dalīl-e-ḳhush-dilī hai mire vāste nahīñ hai
vo dahan ki hai shagufta vo jabīñ ki hai kushāda
vo qadam qadam pe laġhzish vo nigāh-e-mast saaqī
ye tarāsh-e-zulf-e-sarkash ye kulāh-e-kaj-nihādā
wo mile to be-takalluf na mile to be-irada
na tariq-e-ashnai na rusum-e-jam-o-baada
teri nim-kash nigahen tera zer-e-lab tabassum
yunhi ek ada-e-masti yunhi ek fareb-e-sada
wo kuchh is tarah se aae mujhe is tarah se dekha
meri aarzu se kam-tar meri tab se ziyaada
ye dalil-e-KHush-dili hai mere waste nahin hai
wo dahan ki hai shagufta wo jabin ki hai kushada
wo qadam qadam pe laghzish wo nigah-e-mast saqi
ye tarash-e-zulf-e-sarkash ye kulah-e-kaj-nihada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.