wo milne aaya magar apne hi KHayal mein gum
vo milne aaya magar apne hī ḳhayāl meñ gum
maiñ saarī raat rahā nashsha-e-malāl meñ gum
javāb maut ise koī de nahīñ paa.ī
ye zindagī hai abhī apne hī savāl meñ gum
balā kā hashr uThā.e hue hai vo qāmat
phir aaj ek qayāmat hai us kī chaal meñ gum
sahar huī to bichhaḌnā paḌā hai jismoñ ko
magar abhī bhī haiñ rūheñ shab-e-visāl meñ gum
wo milne aaya magar apne hi KHayal mein gum
main sari raat raha nashsha-e-malal mein gum
jawab maut ise koi de nahin pai
ye zindagi hai abhi apne hi sawal mein gum
bala ka hashr uThae hue hai wo qamat
phir aaj ek qayamat hai us ki chaal mein gum
sahar hui to bichhaDna paDa hai jismon ko
magar abhi bhi hain ruhen shab-e-visal mein gum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.