wo mere dhyan se nikal aaya
vo mire dhyān se nikal aayā
phuul gul-dān se nikal aayā
us ne sochā thā fā.eda apnā
aur maiñ nuqsān se nikal aayā
ik safar paañv meñ paḌā huā thā
ek sāmān se nikal aayā
phir kināre bhī aa ga.e nazdīk
jab maiñ tūfān se nikal aayā
saa.e ko dekh kar muqābil meñ
jism maidān se nikal aayā
aa.ina shirk kar rahā thā 'azīz'
maiñ to īmān se nikal aayā
wo mere dhyan se nikal aaya
phul gul-dan se nikal aaya
us ne socha tha faeda apna
aur main nuqsan se nikal aaya
ek safar panw mein paDa hua tha
ek saman se nikal aaya
phir kinare bhi aa gae nazdik
jab main tufan se nikal aaya
sae ko dekh kar muqabil mein
jism maidan se nikal aaya
aaina shirk kar raha tha 'aziz'
main to iman se nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.