wo mere KHwab-e-pairahan chhu kar
vo mire ḳhvāb-e-pairahan chhū kar
uTh gayā aañkh kī chubhan chhū kar
phir vo mānūs ḳhushbueñ lauTīñ
phir havā.eñ chalīñ badan chhū kar
ḳhvāb āñkhoñ meñ rañg tair ga.e
badliyāñ aa ga.iiñ kiran chhū kar
duur kyuuñ pattharoñ pe jā baiThā
vo mirī ruuh kī thakan chhū kar
titliyāñ jañgaloñ ko lauT ga.iiñ
rañg-e-fitrat chaman chaman chhū kar
khaa.ī hogī vahī qasam tū ne
phir kisī zulf kī shikan chhū kar
wo mere KHwab-e-pairahan chhu kar
uTh gaya aankh ki chubhan chhu kar
phir wo manus KHushbuen lauTin
phir hawaen chalin badan chhu kar
KHwab aankhon mein rang tair gae
badliyan aa gain kiran chhu kar
dur kyun pattharon pe ja baiTha
wo meri ruh ki thakan chhu kar
titliyan jangalon ko lauT gain
rang-e-fitrat chaman chaman chhu kar
khai hogi wahi qasam tu ne
phir kisi zulf ki shikan chhu kar
- Book : Kunj Pele Pholon ka (Pg. 115)
- Author : Malik Noorani
- Publication : Malik Noorani (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.