wo mere pas hai kya pas bulaun usko
vo mire paas hai kyā paas bulā.ūñ us ko
dil meñ rahtā hai kahāñ DhūñDne jā.ūñ us ko
aaj phir pahlī mulāqāt se āġhāz karūñ
aaj phir duur se hī dekh ke aa.uuñ us ko
qaid kar luuñ use āñkhoñ ke nihāñ-ḳhāne meñ
chāhtā huuñ ki kisī se na milā.ūñ us ko
use duniyā kī nigāhoñ se karūñ maiñ mahfūz
vo vahāñ ho ki jahāñ dekh na pā.ūñ us ko
chalnā chāhe to rakhe paañv mire siine par
baiThnā chāhe to āñkhoñ pe biThā.ūñ us ko
vo mujhe itnā subuk itnā subuk lagtā hai
kabhī gir jaa.e to palkoñ se uThā.ūñ us ko
mujhe ma.alūm hai āḳhir ko judā honā hai
lekin ik baar to siine se lagā.ūñ us ko
yaad se us kī nahīñ ḳhālī koī bhī lamha
phir bhī Dartā huuñ kahīñ bhuul na jā.ūñ us ko
mujh pe ye raaz isī ek havāle se khulā
baat us kī hai magar kaise batā.ūñ us ko
ye mirā dil mirā dushman mirā dīvāna dil
chāhtā hai ki sabhī zaḳhm dikhā.ūñ us ko
aaj to dhuup meñ tezī hī bahut hai varna
apne saa.e se bhī 'shahzād' bachā.ūñ us ko
wo mere pas hai kya pas bulaun us ko
dil mein rahta hai kahan DhunDne jaun us ko
aaj phir pahli mulaqat se aaghaz karun
aaj phir dur se hi dekh ke aaun us ko
qaid kar lun use aankhon ke nihan-KHane mein
chahta hun ki kisi se na milaun us ko
use duniya ki nigahon se karun main mahfuz
wo wahan ho ki jahan dekh na paun us ko
chalna chahe to rakhe panw mere sine par
baiThna chahe to aankhon pe biThaun us ko
wo mujhe itna subuk itna subuk lagta hai
kabhi gir jae to palkon se uThaun us ko
mujhe malum hai aaKHir ko juda hona hai
lekin ek bar to sine se lagaun us ko
yaad se us ki nahin KHali koi bhi lamha
phir bhi Darta hun kahin bhul na jaun us ko
mujh pe ye raaz isi ek hawale se khula
baat us ki hai magar kaise bataun us ko
ye mera dil mera dushman mera diwana dil
chahta hai ki sabhi zaKHm dikhaun us ko
aaj to dhup mein tezi hi bahut hai warna
apne sae se bhi 'shahzad' bachaun us ko
- Book : urdu shairii ke top ten shayar (Pg. 346)
- Publication : farid book depot (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.