wo mere pas thi gai hai abhi
vo mire paas thī ga.ī hai abhī
merī duniyā mahak rahī hai abhī
tīrgī ko ḳhabar nahīñ shāyad
merī āñkhoñ meñ raushnī hai abhī
us ne ik baar chhū liyā thā yūñhī
mujh meñ ḳhushbū sī aa rahī hai abhī
zindagī us pe tajraba na kare
us kī bātoñ meñ chāshnī hai abhī
maiñ bhī ab tak udaas rahtā huuñ
un nigāhoñ meñ bhī namī hai abhī
is se pahle ki tīrgī phaile
tum chale aao raushnī hai abhī
wo mere pas thi gai hai abhi
meri duniya mahak rahi hai abhi
tirgi ko KHabar nahin shayad
meri aankhon mein raushni hai abhi
us ne ek bar chhu liya tha yunhi
mujh mein KHushbu si aa rahi hai abhi
zindagi us pe tajraba na kare
us ki baaton mein chashni hai abhi
main bhi ab tak udas rahta hun
un nigahon mein bhi nami hai abhi
is se pahle ki tirgi phaile
tum chale aao raushni hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.