wo mizha marti kaTari hai
vo mizha mārtī kaTārī hai
chashm-e-baddūr zaḳhm kaarī hai
āñkheñ chamkā gayā vo barq-āsā
dil mirā vaqf-e-be-qarārī hai
qais bād-e-sabā hai bū lailā
shāḳh-e-gul naafe kī savārī hai
zulf tak go na pahuñchā shāna-vār
haath ko par umīd-vārī hai
dil pe chaḌhtī nahīñ koī tadbīr
merī taqdīr vo utārī hai
dostoñ se hai un kī ayyārī
aur a.adā se dost-dārī hai
dam samajhtā hai ai 'vaqār' vo shoḳh
merī do din se dam-shumārī hai
wo mizha marti kaTari hai
chashm-e-baddur zaKHm kari hai
aankhen chamka gaya wo barq-asa
dil mera waqf-e-be-qarari hai
qais baad-e-saba hai bu laila
shaKH-e-gul nafe ki sawari hai
zulf tak go na pahuncha shana-war
hath ko par umid-wari hai
dil pe chaDhti nahin koi tadbir
meri taqdir wo utari hai
doston se hai un ki ayyari
aur aada se dost-dari hai
dam samajhta hai ai 'waqar' wo shoKH
meri do din se dam-shumari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.