wo mohabbat na sahi dard-e-mohabbat hi sahi
vo mohabbat na sahī dard-e-mohabbat hī sahī
kuchh to mil jaa.e hameñ aap kī nafrat hī sahī
dast-e-qudrat kā banāyā huā shahkār to hai
aadmī aaj kā ik harf-e-malāmat hī sahī
un kī qismat meñ samundar kā sukūñ likkhā hai
apnī taqdīr meñ sahrāoñ kī vahshat hī sahī
shahr meñ tere thake paañv musāfir ke liye
do ghaḌī baiTh ke dam lene kī fursat hī sahī
aañkh jalte hue lamhoñ se milānā hogā
dil meñ biitī huī sadiyoñ kī halāvat hī sahī
wo mohabbat na sahi dard-e-mohabbat hi sahi
kuchh to mil jae hamein aap ki nafrat hi sahi
dast-e-qudrat ka banaya hua shahkar to hai
aadmi aaj ka ek harf-e-malamat hi sahi
un ki qismat mein samundar ka sukun likkha hai
apni taqdir mein sahraon ki wahshat hi sahi
shahr mein tere thake panw musafir ke liye
do ghaDi baiTh ke dam lene ki fursat hi sahi
aankh jalte hue lamhon se milana hoga
dil mein biti hui sadiyon ki halawat hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.