wo mohabbat wo dil wo KHu hi nahin
vo mohabbat vo dil vo ḳhū hī nahīñ
vāqi.a hai ki tū vo tū hī nahīñ
kab vo īfā-e-ahd karte haiñ
jab yahāñ dil meñ aarzū hī nahīñ
iltifāt-e-sitam-numā hai ye
aaj vo tarz-e-guftugū hī nahīñ
haa.e kyā din the vo masarrat ke
jab ye kahte the aarzū hī nahīñ
zarra zarra hai partav-e-lam.āt
chashm-e-jalva-shanās tū hī nahīñ
kab vo aa.e haiñ pūchhne ahvāl
jab yahāñ tāb-e-guftugū hī nahīñ
aañkh meñ phir kahāñ se aatā hai
jab kahīñ jism meñ lahū hī nahīñ
ḳhvāhish-e-vasl ḳhām-kārī hai
dil se nikle vo aarzū hī nahīñ
ġhaflat-e-jur.at-āzmā be-sūd
ki yahāñ pā-e-justujū hī nahīñ
sang-e-dar bhī rahā hai sarf-e-jabīñ
shāhid-e-sajda ḳhāk-e-kū hī nahīñ
sar na kaT kar gire to sajda kyā
ḳhuun se jo na ho vuzū hī nahīñ
un kā milnā 'munīr' āsāñ hai
sach to ye hai ki justujū hī nahīñ
wo mohabbat wo dil wo KHu hi nahin
waqia hai ki tu wo tu hi nahin
kab wo ifa-e-ahd karte hain
jab yahan dil mein aarzu hi nahin
iltifat-e-sitam-numa hai ye
aaj wo tarz-e-guftugu hi nahin
hae kya din the wo masarrat ke
jab ye kahte the aarzu hi nahin
zarra zarra hai partaw-e-lamat
chashm-e-jalwa-shanas tu hi nahin
kab wo aae hain puchhne ahwal
jab yahan tab-e-guftugu hi nahin
aankh mein phir kahan se aata hai
jab kahin jism mein lahu hi nahin
KHwahish-e-wasl KHam-kari hai
dil se nikle wo aarzu hi nahin
ghaflat-e-jurat-azma be-sud
ki yahan pa-e-justuju hi nahin
sang-e-dar bhi raha hai sarf-e-jabin
shahid-e-sajda KHak-e-ku hi nahin
sar na kaT kar gire to sajda kya
KHun se jo na ho wuzu hi nahin
un ka milna 'munir' aasan hai
sach to ye hai ki justuju hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.