wo mujhko dastiyab baDi der tak raha
vo mujh ko dastiyāb baḌī der tak rahā
maiñ us kā intiḳhāb baḌī der tak rahā
dekhā thā us ne muḌ ke mujhe ik nazar to phir
āñkhoñ meñ iztirāb baḌī der tak rahā
ḳhushbū bhī qaid ho ga.ī lafzoñ ke jaal meñ
ḳhat meñ vo ik gulāb baḌī der tak rahā
chehre pe phailne lagī ta.abīr kī thakan
palkoñ pe ek ḳhvāb baḌī der tak rahā
pahle-pahal to ishq ke ādāb ye bhī the
maiñ aap vo janāb baḌī der tak rahā
bārish kī tarah mujh pe barastā rahā vo shaḳhs
ban kar vo ik sahāb baḌī der tak rahā
phir sub.h tak hī chhat pe sitāre muqīm the
khiḌkī meñ māhtāb baḌī der tak rahā
us ke savāl par sabhī alfāz mar ga.e
ashkoñ meñ phir javāb baḌī der tak rahā
gin-gin ke mujh pe kitne vo ehsān kar gayā
poroñ pe phir hisāb baḌī der tak rahā
wo mujh ko dastiyab baDi der tak raha
main us ka intiKHab baDi der tak raha
dekha tha us ne muD ke mujhe ek nazar to phir
aankhon mein iztirab baDi der tak raha
KHushbu bhi qaid ho gai lafzon ke jal mein
KHat mein wo ek gulab baDi der tak raha
chehre pe phailne lagi tabir ki thakan
palkon pe ek KHwab baDi der tak raha
pahle-pahal to ishq ke aadab ye bhi the
main aap wo janab baDi der tak raha
barish ki tarah mujh pe barasta raha wo shaKHs
ban kar wo ek sahab baDi der tak raha
phir subh tak hi chhat pe sitare muqim the
khiDki mein mahtab baDi der tak raha
us ke sawal par sabhi alfaz mar gae
ashkon mein phir jawab baDi der tak raha
gin-gin ke mujh pe kitne wo ehsan kar gaya
poron pe phir hisab baDi der tak raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.