wo mujh par is tarah bhi mehrban ho
vo mujh par is tarah bhī mehrbāñ ho
jahāñ jā.ūñ vo pahle se vahāñ ho
ishāroñ meñ kahā gūñge ne ham se
zabāñ hote hue bhī be-zabāñ ho
ye rūheñ bhī badan ke saath jaa.eñ
agar zer-e-zamīñ bhī āsmāñ ho
zarūrī hai ki ḳhud chalte raho tum
zarūrī ye nahīñ hai kārvāñ ho
ajab schōl hai ye zindagī kā
jahāñ ustād kā bhī imtihāñ ho
kabhī ḳhud se akele bhī milūñ maiñ
hamesha ā.īna kyuuñ darmiyāñ ho
use qaidī nahīñ āzād samjho
jo zanjīreñ pahan kar shādmāñ ho
wo mujh par is tarah bhi mehrban ho
jahan jaun wo pahle se wahan ho
ishaaron mein kaha gunge ne hum se
zaban hote hue bhi be-zaban ho
ye ruhen bhi badan ke sath jaen
agar zer-e-zamin bhi aasman ho
zaruri hai ki KHud chalte raho tum
zaruri ye nahin hai karwan ho
ajab school hai ye zindagi ka
jahan ustad ka bhi imtihan ho
kabhi KHud se akele bhi milun main
hamesha aaina kyun darmiyan ho
use qaidi nahin aazad samjho
jo zanjiren pahan kar shadman ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.