wo mujhe moatabar na dekh saka
vo mujhe mo'atabar na dekh sakā
aur phir umr bhar na dekh sakā
is ko manzil to dikh ga.ī fauran
par vo daur-e-safar na dekh sakā
kyā batā.ūñ sitam-zarīf kā haal
vo mujhe ik nazar na dekh sakā
tujh ko kaise dikhā.ī detā maiñ
tū mujhe is qadar na dekh sakā
vo mujhe baar baar uḌātā rahā
aur mire ḳhasta par na dekh sakā
mere mālik ne bhar diyā kaasa
vo mujhe dar-ba-dar na dekh sakā
sab ke sab dekhte rahe tasvīr
koī dīvār par na dekh sakā
tū bhī dekh aa ke hālat-e-'ahmad'
aur iqrār kar na dekh sakā
wo mujhe mo'atabar na dekh saka
aur phir umr bhar na dekh saka
is ko manzil to dikh gai fauran
par wo daur-e-safar na dekh saka
kya bataun sitam-zarif ka haal
wo mujhe ek nazar na dekh saka
tujh ko kaise dikhai deta main
tu mujhe is qadar na dekh saka
wo mujhe bar bar uData raha
aur mere KHasta par na dekh saka
mere malik ne bhar diya kasa
wo mujhe dar-ba-dar na dekh saka
sab ke sab dekhte rahe taswir
koi diwar par na dekh saka
tu bhi dekh aa ke haalat-e-'ahmad'
aur iqrar kar na dekh saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.