wo nahin hai to kya jiya jae
vo nahīñ hai to kyā jiyā jaa.e
zindagī terā kyā kiyā jaa.e
kaun suntā hai aap kī nāseh
hoñT achchhā hai sī liyā jaa.e
is se pahle koī duā māñgeñ
chāk-e-dāman ko sī liyā jaa.e
tishnagī kyā bujhā.egī ye mai
ashk-e-ġham ko hī pī liyā jaa.e
wo nahin hai to kya jiya jae
zindagi tera kya kiya jae
kaun sunta hai aap ki naseh
honT achchha hai si liya jae
is se pahle koi dua mangen
chaak-e-daman ko si liya jae
tishnagi kya bujhaegi ye mai
ashk-e-gham ko hi pi liya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.