wo nazar jab idhar nahin hoti
vo nazar jab idhar nahīñ hotī
raushnī mere ghar nahīñ hotī
har bayāñ mustanad nahīñ hotā
har zabāñ mo'atabar nahīñ hotī
ishq kī raah meñ kisī kī nazar
apne anjām par nahīñ hotī
thak ke har gaam baiThne vaalo
zindagī yuuñ basar nahīñ hotī
jis duā meñ taḌap na ho dil kī
vo rahīn-e-asar nahīñ hotī
ishq meñ jaañ se haath dhote haiñ
ye muhim yuuñ hī sar nahīñ hotī
jo sahar hāsil-e-shab-e-ġham hai
vo sahar umr bhar nahīñ hotī
dard-e-dil yuuñ aziiz hai 'sābir'
minnat-e-chāra-gar nahīñ hotī
wo nazar jab idhar nahin hoti
raushni mere ghar nahin hoti
har bayan mustanad nahin hota
har zaban mo'atabar nahin hoti
ishq ki rah mein kisi ki nazar
apne anjam par nahin hoti
thak ke har gam baiThne walo
zindagi yun basar nahin hoti
jis dua mein taDap na ho dil ki
wo rahin-e-asar nahin hoti
ishq mein jaan se hath dhote hain
ye muhim yun hi sar nahin hoti
jo sahar hasil-e-shab-e-gham hai
wo sahar umr bhar nahin hoti
dard-e-dil yun aziz hai 'sabir'
minnat-e-chaara-gar nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.