wo nazar mujhse KHafa ho jaise
vo nazar mujh se ḳhafā ho jaise
jism se ruuh judā ho jaise
yuuñ uThā mere nasheman se dhuāñ
dard pahlū se uThā ho jaise
zindagī apne hī zaḳhmoñ ke sabab
kisī muflis kī qabā ho jaise
intizār us kā mirā tār-e-nafas
yak-ba-yak TuuT gayā ho jaise
sānehe karte haiñ 'mahvar' ko talāsh
markaz-e-karb-o-balā ho jaise
wo nazar mujh se KHafa ho jaise
jism se ruh juda ho jaise
yun uTha mere nasheman se dhuan
dard pahlu se uTha ho jaise
zindagi apne hi zaKHmon ke sabab
kisi muflis ki qaba ho jaise
intizar us ka mera tar-e-nafas
yak-ba-yak TuT gaya ho jaise
sanehe karte hain 'mahwar' ko talash
markaz-e-karb-o-bala ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.