wo nigah dil pe paDi dagh jigar ke hote
vo nigah dil pe paḌī daaġh jigar ke hote
dikhā.ī talvār sadā afsos sipar ke hote
ka.aba-o-dair ko apnā to yahīñ se hai salām
dar-ba-dar kaun phire yaar ke dar ke hote
terī āñkhoñ ke tasavvur meñ hai sair-e-kaunain
varna ham log idhar ke na idhar ke hote
ham ko 'mārūf' agar sher savārī detā
to bhī pā-bos-e-sag-e-yār utar ke hote
wo nigah dil pe paDi dagh jigar ke hote
dikhai talwar sada afsos sipar ke hote
kaba-o-dair ko apna to yahin se hai salam
dar-ba-dar kaun phire yar ke dar ke hote
teri aankhon ke tasawwur mein hai sair-e-kaunain
warna hum log idhar ke na idhar ke hote
hum ko 'maruf' agar sher sawari deta
to bhi pa-bos-e-sag-e-yar utar ke hote
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.