wo nigah jab mujhe pukarti thi
vo nigah jab mujhe pukārtī thī
dil kī hairāniyāñ ubhārtī thī
apnī nādīda uñgliyoñ ke saath
mere bāloñ ko vo sañvārtī thī
roz maiñ us ko jiit jaatā thā
aur vo roz ḳhud ko hārtī thī
pattiyāñ muskurāne lagtī thiiñ
shāḳh se phuul jab utārtī thī
jin dinoñ maiñ use pukārtā thā
ek duniyā mujhe pukārtī thī
sehn meñ chhāñv thī daraḳhtoñ kī
jo mirī shā.irī nikhārtī thī
bārgāhoñ meñ ġhusl-e-girya se
ruuh apnī thakan utārtī thī
ik lagan thī chubhan thī jo bhī thī
roz siine meñ din guzārtī thī
wo nigah jab mujhe pukarti thi
dil ki hairaniyan ubhaarti thi
apni nadida ungliyon ke sath
mere baalon ko wo sanwarti thi
roz main us ko jit jata tha
aur wo roz KHud ko haarti thi
pattiyan muskurane lagti thin
shaKH se phul jab utarti thi
jin dinon main use pukarta tha
ek duniya mujhe pukarti thi
sehn mein chhanw thi daraKHton ki
jo meri shairi nikhaarti thi
bargahon mein ghusl-e-girya se
ruh apni thakan utarti thi
ek lagan thi chubhan thi jo bhi thi
roz sine mein din guzarti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.