wo nikle the misal-e-tufan tapte regzaron se
vo nikle the misāl-e-tūfāñ tapte regzāroñ se
chamaktī jin kī peshānī thī gardūñ ke sitāroñ se
liye qur.ān kā nusḳha sajā kar apne sīnoñ meñ
nikal aa.e vo tifl-e-vaqt aage shahsavāroñ se
abhī tak ibn-e-ādam haañ isī hairat meñ khoyā hai
laḌe the tiin sau terah bhalā kaise hazāroñ se
hue jo ġhota-zan ishq-e-mohammad meñ suno 'ġhāzī'
huī na phir kabhī un kī shanāsā.ī kināroñ se
wo nikle the misal-e-tufan tapte regzaron se
chamakti jin ki peshani thi gardun ke sitaron se
liye quran ka nusKHa saja kar apne sinon mein
nikal aae wo tifl-e-waqt aage shahsawaron se
abhi tak ibn-e-adam han isi hairat mein khoya hai
laDe the tin sau terah bhala kaise hazaron se
hue jo ghota-zan ishq-e-mohammad mein suno 'ghazi'
hui na phir kabhi un ki shanasai kinaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.