wo pagal sab ke aage ro chuka hai
vo pāgal sab ke aage ro chukā hai
kisī kā dukh koī kab bāñTtā hai
hazāroñ baar mujh se mil chukā hai
zarūrat ho tabhī pahchāntā hai
kabhī to mulk kā mālik kaheñge
kabhī ik ardalī bhī DāñTtā hai
ye ghar hai apnī marzī jī rahā hai
patā hai raat saarī jāgtā hai
vo pyāre dil meñ aa kar bas ga.e hai
jo un ko bhā gayā vo devtā hai
wo pagal sab ke aage ro chuka hai
kisi ka dukh koi kab banTta hai
hazaron bar mujh se mil chuka hai
zarurat ho tabhi pahchanta hai
kabhi to mulk ka malik kahenge
kabhi ek ardali bhi DanTta hai
ye ghar hai apni marzi ji raha hai
pata hai raat sari jagta hai
wo pyare dil mein aa kar bas gae hai
jo un ko bha gaya wo dewta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.