wo pas kya zara sa muskura ke baiTh gaya
vo paas kyā zarā sā muskurā ke baiTh gayā
maiñ is mazāq ko dil se lagā ke baiTh gayā
jab us kī bazm meñ dār-o-rasan kī baat chalī
maiñ jhaT se uTh gayā aur aage aa ke baiTh gayā
daraḳht kaaT ke jab thak gayā lakaḌ-hārā
to ik daraḳht ke saa.e meñ jā ke baiTh gayā
tumhāre dar se maiñ kab uThnā chāhtā thā magar
ye merā dil hai ki mujh ko uThā ke baiTh gayā
jo mere vāste kursī lagāyā kartā thā
vo merī kursī se kursī lagā ke baiTh gayā
phir us ke ba.ad ka.ī log uTh ke jaane lage
maiñ uTh ke jaane kā nusḳha batā ke baiTh gayā
wo pas kya zara sa muskura ke baiTh gaya
main is mazaq ko dil se laga ke baiTh gaya
jab us ki bazm mein dar-o-rasan ki baat chali
main jhaT se uTh gaya aur aage aa ke baiTh gaya
daraKHt kaT ke jab thak gaya lakaD-haara
to ek daraKHt ke sae mein ja ke baiTh gaya
tumhaare dar se main kab uThna chahta tha magar
ye mera dil hai ki mujh ko uTha ke baiTh gaya
jo mere waste kursi lagaya karta tha
wo meri kursi se kursi laga ke baiTh gaya
phir us ke baad kai log uTh ke jaane lage
main uTh ke jaane ka nusKHa bata ke baiTh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.