Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo pahle soch len khilti hui kali kya hai

Shifa Gwaliari

wo pahle soch len khilti hui kali kya hai

Shifa Gwaliari

MORE BYShifa Gwaliari

    vo pahle soch leñ khiltī huī kalī kyā hai

    jo sochte haiñ ki tarkīb-e-zindagī kyā hai

    kidhar hai ġhairat-e-ġham kuchh mujhe sahārā de

    vo mujh se pūchh rahe haiñ tirī ḳhushī kyā hai

    vafā raaz na samjhā sakā koī ab tak

    ki is kyā hai haqīqat ye vāqa.ī kyā hai

    yahī to hotī hai saare ruḳhoñ ā.īna

    koī samajh ke to dekhe ki be-ruḳhī kyā hai

    dam-e-aḳhīr hai kis ḳhayāl jalva-faroz

    ye merī maut had meñ hayāt kyā hai

    darāz umr ho ai jiine vaale terī magar

    jo sirf apne liye ho vo zindagī kyā hai

    na jaane kyā ho ki merī raushnī meñ 'shifā'

    ḳhudī ye soch rahī hai ki be-ḳhudī kyā hai

    wo pahle soch len khilti hui kali kya hai

    jo sochte hain ki tarkib-e-zindagi kya hai

    kidhar hai ghairat-e-gham kuchh mujhe sahaara de

    wo mujh se puchh rahe hain teri KHushi kya hai

    wafa ka raaz na samjha saka koi ab tak

    ki is ki kya hai haqiqat ye waqai kya hai

    yahi to hoti hai sare ruKHon ka aaina

    koi samajh ke to dekhe ki be-ruKHi kya hai

    dam-e-aKHir hai kis ka KHayal jalwa-faroz

    ye meri maut ki had mein hayat si kya hai

    daraaz umr ho ai jine wale teri magar

    jo sirf apne liye ho wo zindagi kya hai

    na jaane kya ho ki meri hi raushni mein 'shifa'

    KHudi ye soch rahi hai ki be-KHudi kya hai

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now