wo parinde bhi sath laya tha
vo parinde bhī saath laayā thā
maiñ ne jis peḌ ko bulāyā thā
terā hañsnā bhī kyā musībat hai
maiñ koī baat karne aayā thā
ye havā.eñ bhī kitnī jhūTī haiñ
ham ne bas haath hī milāyā thā
phir koī baat aa ga.ī dil meñ
maiñ use paas le hī aayā thā
vo to hairat meñ Dālnā thā use
kaun dariyā ko rok paayā thā
titliyāñ bhar ga.iiñ thiiñ kamre meñ
phuul dīvār par banāyā thā
vo mohabbat agar nahīñ thī 'hasan'
us ne chaa.e meñ kyā milāyā thā
wo parinde bhi sath laya tha
main ne jis peD ko bulaya tha
tera hansna bhi kya musibat hai
main koi baat karne aaya tha
ye hawaen bhi kitni jhuTi hain
hum ne bas hath hi milaya tha
phir koi baat aa gai dil mein
main use pas le hi aaya tha
wo to hairat mein Dalna tha use
kaun dariya ko rok paya tha
titliyan bhar gain thin kamre mein
phul diwar par banaya tha
wo mohabbat agar nahin thi 'hasan'
us ne chae mein kya milaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.