wo puchhti hai mere liye tumne kya kiya hai
vo pūchhtī hai mire liye tum ne kyā kiyā hai
ye sab suḳhan tere vāste to likhā huā hai
sab aa ke kahte haiñ mujh ko beTā paḌhā.ī kar lo
paḌhā.ī karke kis aadmī kā bhalā huā hai
sabhī na.e rishte us ke ziyāda chale nahīñ haiñ
so vāpsī kā yaqīn ab bhī banā huā hai
vo jaisā bhī hai tum us ko vaisā qubūl kar lo
vo 'jaun' kī shā.irī ko paḌh kar baḌā huā hai
do-chār baar hī sahī lagāyā thā us kā number
patā nahīñ phir bhī call kis ko lagā huā hai
wo puchhti hai mere liye tum ne kya kiya hai
ye sab suKHan tere waste to likha hua hai
sab aa ke kahte hain mujh ko beTa paDhai kar lo
paDhai karke kis aadmi ka bhala hua hai
sabhi nae rishte us ke ziyaada chale nahin hain
so wapsi ka yaqin ab bhi bana hua hai
wo jaisa bhi hai tum us ko waisa qubul kar lo
wo 'jaun' ki shairi ko paDh kar baDa hua hai
do-chaar bar hi sahi lagaya tha us ka number
pata nahin phir bhi call kis ko laga hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.