wo qafila jo rah-e-shaeri mein kam utra
vo qāfila jo rah-e-shā.erī meñ kam utrā
nasīb se mire ghar kārvān-e-ġham utrā
tujhe ḳhabar hī nahīñ hai ye qissa-e-kotāh
jahāñ pe but na gire kab vahāñ haram utrā
safed ho ga.e jab shahr ke tamām sutūñ
har ek burj har ik taaq meñ sanam utrā
kashāñ kashāñ jo sitāroñ kī samt niklā thā
phirā to apnī zamīñ par ba-chashm-e-nam utrā
dayār-e-ishq kī tīra-nasībiyāñ 'sālim'
ki āsmāñ to gire ḳhuub abr kam utrā
wo qafila jo rah-e-shaeri mein kam utra
nasib se mere ghar karwan-e-gham utra
tujhe KHabar hi nahin hai ye qissa-e-kotah
jahan pe but na gire kab wahan haram utra
safed ho gae jab shahr ke tamam sutun
har ek burj har ek taq mein sanam utra
kashan kashan jo sitaron ki samt nikla tha
phira to apni zamin par ba-chashm-e-nam utra
dayar-e-ishq ki tira-nasibiyan 'salim'
ki aasman to gire KHub abr kam utra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.