wo qad-awar meri unchai se baDh kar na hua
wo qad-awar meri unchai se baDh kar na hua
Maqsood Anwar Maqsood
MORE BYMaqsood Anwar Maqsood
vo qad-āvar mirī ūñchā.ī se baḌh kar na huā
mere jhukne pe bhī vo mere barābar na huā
apnī dastār kā saudā nahīñ hogā mujh se
vaqt ke qadmoñ pe ḳham merā kabhī sar na huā
apnī āñkhoñ se pilā kar mujhe sairāb karo
pyaas itnī hai ki do ghūñT samundar na huā
maiñ to is bojh ko siine se alag kar dūñgā
dil kā kyā kaam agar ye tirā ḳhūgar na huā
terī dāvat mire ā.īne ko dhuñdlā degī
jo jhuke shaah ke dar pe vo qalandar na huā
hai mire paas mirī ḳhāk-nashīnī kā javāz
maiñ tire nain ke mansab pe muqarrar na huā
mere tevar hī ai 'maqsūd' bachat hai merī
saḳht mushkil meñ bhī nīlām ye zevar na huā
wo qad-awar meri unchai se baDh kar na hua
mere jhukne pe bhi wo mere barabar na hua
apni dastar ka sauda nahin hoga mujh se
waqt ke qadmon pe KHam mera kabhi sar na hua
apni aankhon se pila kar mujhe sairab karo
pyas itni hai ki do ghunT samundar na hua
main to is bojh ko sine se alag kar dunga
dil ka kya kaam agar ye tera KHugar na hua
teri dawat mere aaine ko dhundla degi
jo jhuke shah ke dar pe wo qalandar na hua
hai mere pas meri KHak-nashini ka jawaz
main tere nain ke mansab pe muqarrar na hua
mere tewar hi ai 'maqsud' bachat hai meri
saKHt mushkil mein bhi nilam ye zewar na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.