wo raat be-panah thi aur main gharib tha
vo raat be-panāh thī aur maiñ ġharīb thā
vo jis ne ye charāġh jalāyā ajiib thā
vo raushnī ki aañkh uThā.ī nahīñ ga.ī
kal mujh se merā chāñd bahut hī qarīb thā
dekhā mujhe to tab.a ravāñ ho ga.ī mirī
vo muskurā diyā to maiñ shā.er adiib thā
rakhtā na kyuuñ maiñ ruuh o badan us ke sāmne
vo yuuñ bhī thā tabīb vo yuuñ bhī tabīb thā
har silsila thā us kā ḳhudā se milā huā
chup ho ki lab-kushā ho balā kā ḳhatīb thā
mauj-e-nashāt o sail-e-ġham-e-jāñ the ek saath
gulshan meñ naġhma-sañj ajab andalīb thā
maiñ bhī rahā huuñ ḳhalvat-e-jānāñ meñ ek shaam
ye ḳhvāb hai yā vāqa.ī maiñ ḳhush-nasīb thā
harf-e-duā o dast-e-saḳhāvat ke baab meñ
ḳhud merā tajraba hai vo be-had najīb thā
dekhā hai us ko ḳhalvat o jalvat meñ bār-hā
vo aadmī bahut hī ajīb-o-ġharīb thā
likkho tamām umar magar phir bhī tum 'alīm'
us ko dikhā na paao vo aisā habīb thā
wo raat be-panah thi aur main gharib tha
wo jis ne ye charagh jalaya ajib tha
wo raushni ki aankh uThai nahin gai
kal mujh se mera chand bahut hi qarib tha
dekha mujhe to taba rawan ho gai meri
wo muskura diya to main shaer adib tha
rakhta na kyun main ruh o badan us ke samne
wo yun bhi tha tabib wo yun bhi tabib tha
har silsila tha us ka KHuda se mila hua
chup ho ki lab-kusha ho bala ka KHatib tha
mauj-e-nashat o sail-e-gham-e-jaan the ek sath
gulshan mein naghma-sanj ajab andalib tha
main bhi raha hun KHalwat-e-jaanan mein ek sham
ye KHwab hai ya waqai main KHush-nasib tha
harf-e-dua o dast-e-saKHawat ke bab mein
KHud mera tajraba hai wo be-had najib tha
dekha hai us ko KHalwat o jalwat mein bar-ha
wo aadmi bahut hi ajib-o-gharib tha
likkho tamam umar magar phir bhi tum 'alim'
us ko dikha na pao wo aisa habib tha
- Book : Veeran sarai ka diya (Pg. 81)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.