wo ram-shiar mera shoKH-dida aaya tha
wo ram-shiar mera shoKH-dida aaya tha
Pandit Jawahar Nath Saqi
MORE BYPandit Jawahar Nath Saqi
vo ram-shi.ār mirā shoḳh-dīda aayā thā
vo ishva-sanj kashīda kashīda aayā thā
kiyā hai chashm-e-muravvat ne aaj mā.il-e-mehr
maiñ un kī bazm se kal ābdīda aayā thā
jo rāz-e-dil thā vo ḳhalvat meñ sab kahā ham ne
koī bhī saath nahīñ thā jarīda aayā thā
vo murġh-e-bismil-e-ulfat fidā-e-husn tirā
ba-shakl-e-tā.ir-e-rañg-e-parīda aayā thā
vo tere jazb-e-mohabbat kā shauq-e-mastāna
junūñ-libās garebāñ darīda aayā thā
tumhārā bulbul-e-kashmīr shefta shaidā
bahār-e-jalva liye ik qasīda aayā thā
sitam-zarīf haiñ pīr-e-muġhāñ bhī mai-ḳhvāro
kahāñ surūr meñ 'sāqī' na-dīda aayā thā
wo ram-shiar mera shoKH-dida aaya tha
wo ishwa-sanj kashida kashida aaya tha
kiya hai chashm-e-murawwat ne aaj mail-e-mehr
main un ki bazm se kal aabdida aaya tha
jo raaz-e-dil tha wo KHalwat mein sab kaha hum ne
koi bhi sath nahin tha jarida aaya tha
wo murgh-e-bismil-e-ulfat fida-e-husn tera
ba-shakl-e-tair-e-rang-e-parida aaya tha
wo tere jazb-e-mohabbat ka shauq-e-mastana
junun-libas gareban darida aaya tha
tumhaara bulbul-e-kashmir shefta shaida
bahaar-e-jalwa liye ek qasida aaya tha
sitam-zarif hain pir-e-mughan bhi mai-KHwaro
kahan surur mein 'saqi' na-dida aaya tha
- Book : Kulliyat-e-Saaqi (Pg. e-48 p-45)
- Author : Pandit Jawahar Nath Saqi
- Publication : Pandit Jawahar Nath Saqi (1926)
- Edition : 1926
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.