wo rang-e-ruKH wo aatish-e-KHun kaun le gaya
wo rang-e-ruKH wo aatish-e-KHun kaun le gaya
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
vo rang-e-ruḳh vo ātish-e-ḳhūñ kaun le gayā
ai dil tirā vo raqs-e-junūñ kaun le gayā
zanjīr āñsuoñ kī kahāñ TuuT kar girī
vo intihā-e-ġham kā sukūñ kaun le gayā
dard-e-nihāñ ke chhīn liye kis ne aa.ine
nok-e-mizha se qatra-e-ḳhūñ kaun le gayā
jo mujh se boltī thiiñ vo rāteñ kahāñ ga.iiñ
jo jāgtā thā soz-e-darūñ kaun le gayā
kis moḌ par bichhaḌ ga.e ḳhvāboñ ke qāfile
vo manzil-e-tarab kā fusūñ kaun le gayā
jo sham' itnī raat jalī kyuuñ vo bujh ga.ī
jo shauq ho chalā thā fuzūñ kaun le gayā
wo rang-e-ruKH wo aatish-e-KHun kaun le gaya
ai dil tera wo raqs-e-junun kaun le gaya
zanjir aansuon ki kahan TuT kar giri
wo intiha-e-gham ka sukun kaun le gaya
dard-e-nihan ke chhin liye kis ne aaine
nok-e-mizha se qatra-e-KHun kaun le gaya
jo mujh se bolti thin wo raaten kahan gain
jo jagta tha soz-e-darun kaun le gaya
kis moD par bichhaD gae KHwabon ke qafile
wo manzil-e-tarab ka fusun kaun le gaya
jo sham' itni raat jali kyun wo bujh gai
jo shauq ho chala tha fuzun kaun le gaya
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 80)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.