wo rang ishq mein parwardigar aa jae
vo rang ishq meñ parvardigār aa jaa.e
dikhā duuñ aag ko dāman bahār aa jaa.e
ilāhī ḳhair ye aalam siyāh-baḳhtī kā
sukūn māñgiye aur zulf-e-yār aa jaa.e
hayāt-o-maut ko tum jaano ham tumheñ jāneñ
hamāre dīda-o-dil ko qarār aa jaa.e
jo poñchh lo mire aañsū tum apne dāman meñ
to phuul khil ke raheñ aur bahār aa jaa.e
kalīm hausla-e-dīd phir ba-īñ takrār
kahīñ na jal ke koī sho.ala-bār aa jaa.e
tum aao bazm meñ ruḳhsat karo chale jaao
lahad meñ yuuñ mujhe shāyad qarār aa jaa.e
nazar bachā ke mirī aao aate hī hañs do
bahār hī nahīñ lutf-e-bahār aa jaa.e
idhar se nāma-e-a.amāl maiñ chalūñ le kar
udhar se rahmat-e-parvardigār aa jaa.e
na maiñ rahā to banā.egā baat kyā qāsid
agar vo kar ke tirā e.atibār aa jaa.e
chhupāyā gor meñ muñh roz-e-hashr ke Dar se
yahāñ na gardish-e-lail-o-nahār aa jaa.e
mirī bahār hai pinhāñ tumhāre dāman meñ
tum hī na aao to kyūñkar bahār aa jaa.e
fareb-e-husn bhī hai kis qadar hasīn 'qadīr'
ki is ke bhes meñ ik sho.ala-bār aa jaa.e
wo rang ishq mein parwardigar aa jae
dikha dun aag ko daman bahaar aa jae
ilahi KHair ye aalam siyah-baKHti ka
sukun mangiye aur zulf-e-yar aa jae
hayat-o-maut ko tum jaano hum tumhein jaanen
hamare dida-o-dil ko qarar aa jae
jo ponchh lo mere aansu tum apne daman mein
to phul khil ke rahen aur bahaar aa jae
kalim hausla-e-did phir ba-in takrar
kahin na jal ke koi shoala-bar aa jae
tum aao bazm mein ruKHsat karo chale jao
lahad mein yun mujhe shayad qarar aa jae
nazar bacha ke meri aao aate hi hans do
bahaar hi nahin lutf-e-bahaar aa jae
idhar se nama-e-amal main chalun le kar
udhar se rahmat-e-parwardigar aa jae
na main raha to banaega baat kya qasid
agar wo kar ke tera eatibar aa jae
chhupaya gor mein munh roz-e-hashr ke Dar se
yahan na gardish-e-lail-o-nahaar aa jae
meri bahaar hai pinhan tumhaare daman mein
tum hi na aao to kyunkar bahaar aa jae
fareb-e-husn bhi hai kis qadar hasin 'qadir'
ki is ke bhes mein ek shoala-bar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.